Zindagi to meri ekdam suljhee huyi si hai..
kuchh jyada hi seedhi saadi si..
ek seedhe resham ke dhaage see..
jo hawa ke sath udata hai..
jisme nahi pada koi fanda ya koi gaath..
bah rahi hawa ke sath mano doondh raha ho apna bandhan ..
meri zindagi ek sidhe bina ulajhe dhage see!
Jaise ek hawa me girta pankh ka tukda...
na to ud sakta aur na girta jameen pe..
bahta rahata apni halki si kaya liye..
chad jata kisi bhi foonk ki sawari
Jaise ped pe ek sukha patta..
jo atka hai ek sukhe huye sire se..
apne vajood se alag hoke bhi..
juda hai kisi jod se..
juda hai kisi jod se..
ya
Ek dhalan pe ludakta hua patthar....
jharane ke pani sa bahta..
kis rah pe jayega wo..
ya ruk jayega kisi tane se takara ke..
ya fir ek pani kee boondh si..
jo chali thi badal se...ek anjani see rah pe..
udegi hawa ke sath ..ya pahuchegi zameen par.
giregi kisi patte pe ya milegi samandar se...
banane ko fir se ek boond...kabhi pani se bhap.. kabhi bhap se pani !
Meri Zindagi!!!
Meri Zindagi!!!
(Please see previous post for Hindi font version)
(c) Pradeep Singh
Zindagi to bas jeene ke liye hai...
ReplyDeletepar nahi bahne ke yun hi hawa ke sath
main pankh apne failata hoon...
us udte huye hans ki tarah..
jo ja raha hai..suraj ki or...ek naye basere ke khoj me......
aur nahi rahega wo ekala...is lambe raste bhar.
Milenege sathi banane ko hamsafar use...
Safar ko karne aur suhana...
pahuch ke manjil pe jise..fir se ek naya mod hai pana.. !!